Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wahi tu ne dekha ki jo dil kaha tha na ho us pe shaida ki wo bad-bala hai

Naseem Dehlvi

wahi tu ne dekha ki jo dil kaha tha na ho us pe shaida ki wo bad-bala hai

Naseem Dehlvi

MORE BYNaseem Dehlvi

    vahī ne dekhā ki jo dil kahā thā na ho us pe shaidā ki vo bad-balā hai

    gilā ab hai bejā ki ye ho gayā kyā kiyā ne jaisā vahī ye sazā hai

    na vo ab ishāre na vo ab nazāre na vo kahnā aa re na vo kahnā re

    ga.e lutf saare hue yuuñ kināre chalo ḳhair pyāre mirā ab ḳhudā hai

    huā is pe maa.il huā ġham se shāġhil huī saḳht mushkil kiyā ne kyā dil

    nahīñ hai vo ġhāfil banegā vo qātil karegā vo bismil tirī ab qazā hai

    ye haiñ lutf be-Dhab raheñ vo jo har shab mirā aayā dil jab to vo milte haiñ kab

    ajī makr haiñ sab kahāñ bosa-e-lab yahī jāniye ab ki vo bevafā hai

    kaho kal rahoge mire ghar chaloge kahā jo karoge mirā ġham sunoge

    gale se miloge mujhe bose doge koī dam hañsoge ki ye sab daġhā hai

    wahi tu ne dekha ki jo dil kaha tha na ho us pe shaida ki wo bad-bala hai

    gila ab hai beja ki ye ho gaya kya kiya tu ne jaisa wahi ye saza hai

    na wo ab ishaare na wo ab nazare na wo kahna aa re na wo kahna ja re

    gae lutf sare hue yun kinare chalo KHair pyare mera ab KHuda hai

    hua is pe mail hua gham se shaghil hui saKHt mushkil kiya tu ne kya dil

    nahin hai wo ghafil banega wo qatil karega wo bismil teri ab qaza hai

    ye hain lutf be-Dhab rahen wo jo har shab mera aaya dil jab to wo milte hain kab

    aji makr hain sab kahan bosa-e-lab yahi jaaniye ab ki wo bewafa hai

    kaho kal rahoge mere ghar chaloge kaha jo karoge mera gham sunoge

    gale se miloge mujhe bose doge koi dam hansoge ki ye sab dagha hai

    Source:

    Kulliyat-e-Naseem (Pg. 408)

    • Author: Naseem Dehlvi
      • Edition: 1966
      • Publisher: Syed Imtiyaz Ali Taj, Majlis-e-Taraqqi-e-Adab, Lahore
      • Year of Publication: 1966
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now