aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wahin se jab ki ishaara ho KHud-numai ka

Ismail Merathi

wahin se jab ki ishaara ho KHud-numai ka

Ismail Merathi

MORE BYIsmail Merathi

    vahīñ se jab ki ishāra ho ḳhud-numā.ī

    ajab ki banda na dā'vā kare ḳhudā.ī

    mile jo rutba tire dar jab.ha-sā.ī

    to ek silsila ho shāhī-o-gadā.ī

    nahīñ hai faiz meñ ḳhissat va-lek paidā hai

    tafāvut ā.ina-o-sañg meñ safā.ī

    yahāñ jo 'ishq hai betāb-e-jalva-e-dīdār

    vahāñ bhī husn muharrik hai ḳhud-numā.ī

    butoñ ke sāmne but-gar ghise jabīn-e-niyāz

    maiñ shefta huuñ tirī shān-e-kibriyā.ī

    na kar kisī burā.ī na ban bhale se burā

    bhalā bhalā hai burā kaam hai burā.ī

    banā.eñ bigḌī huī ko to ek baat bhī hai

    bigāḌnā nahīñ mushkil banī-banā.ī

    uThā hijāb to bas dīn-o-dil diye banī

    janāb-e-shaiḳh ko dā'vā thā pārsā.ī

    tumhāre dil se kudūrat miTā.e to jāneñ

    khulā hai shahr meñ ik mahkama safā.ī

    havas hai gar sar-o-sāmāñ ke jam.a karne

    talāsh kar sar-o-sāmān be-navā.ī

    sivā.e 'ishq nahīñ koī rahbar-e-chālāk

    vahāñ ḳhirad ko nahīñ hausla rasā.ī

    usī vasf hai maqsūd she'r-ḳhvānī se

    usī zikr hai manshā ġhazal-sarā.ī

    nahīñ hai ab ke zamāne ye ravish zinhār

    maiñ yādgār huuñ 'ḳhāqānī'-o-'sanā.ī'

    wahin se jab ki ishaara ho KHud-numai ka

    ajab ki banda na da'wa kare KHudai ka

    mile jo rutba tere dar ki jabha-sai ka

    to ek silsila ho shahi-o-gadai ka

    nahin hai faiz mein KHissat wa-lek paida hai

    tafawut aaina-o-sang mein safai ka

    yahan jo 'ishq hai betab-e-jalwa-e-didar

    wahan bhi husn muharrik hai KHud-numai ka

    buton ke samne but-gar ghise jabin-e-niyaz

    main shefta hun teri shan-e-kibriyai ka

    na kar kisi ki burai na ban bhale se bura

    bhala bhala hai bura kaam hai burai ka

    banaen bigDi hui ko to ek baat bhi hai

    bigaDna nahin mushkil bani-banai ka

    uTha hijab to bas din-o-dil diye hi bani

    janab-e-shaiKH ko da'wa tha parsai ka

    tumhaare dil se kudurat miTae to jaanen

    khula hai shahr mein ek mahkama safai ka

    hawas hai gar sar-o-saman ke jama karne ki

    talash kar sar-o-saman be-nawai ka

    siwae 'ishq nahin koi rahbar-e-chaalak

    wahan KHirad ko nahin hausla rasai ka

    usi ka wasf hai maqsud she'r-KHwani se

    usi ka zikr hai mansha ghazal-sarai ka

    nahin hai ab ke zamane ki ye rawish zinhaar

    main yaadgar hun 'KHaqani'-o-'sanai' ka

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    wahin se jab ki ishaara ho KHud-numai ka Nomaan Shauque

    Source:

    Kulliyat-w-Hayat-e-Ismail Ba-Tasveer (Pg. ebook-468 page-280)

    • Author: Mohammad Aslam Saifi
      • Edition: 1939
      • Publisher: Dayal Printing Press, Delhi
      • Year of Publication: 1939
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now