Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wahm koi guman mein tha hi nahin

Hamdam Kashmiri

wahm koi guman mein tha hi nahin

Hamdam Kashmiri

MORE BYHamdam Kashmiri

    vahm koī gumāñ meñ thā nahīñ

    naqsh apnā nishāñ meñ thā nahīñ

    mujh se mansūb ho gayā kyuuñ kar

    vo jo mere bayāñ meñ thā nahīñ

    log kaise mirā yaqīñ karte

    jhuuT mere bayāñ meñ thā nahīñ

    chor aayā gayā bhī ḳhālī haath

    maiñ to apne makāñ meñ thā nahīñ

    bas purānī ghisī-piTī bāteñ

    rañg taaza bayāñ meñ thā nahīñ

    phīkī phīkī bahār guzrī hai

    rañg apnā ḳhizāñ meñ thā nahīñ

    ham ne sun kar bhī an-sunī kar

    kuchh ta.assur azaañ meñ thā nahīñ

    mere sar ke liye jo ho mauzūñ

    sañg vo āstāñ meñ thā nahīñ

    der se ḳhāmushī hai ḳhema-zan

    shor kyā kārvāñ meñ thā nahīñ

    aa rahā thā zamīn jānib

    vasvasa āsmāñ meñ thā nahīñ

    wahm koi guman mein tha hi nahin

    naqsh apna nishan mein tha hi nahin

    mujh se mansub ho gaya kyun kar

    wo jo mere bayan mein tha hi nahin

    log kaise mera yaqin karte

    jhuT mere bayan mein tha hi nahin

    chor aaya gaya bhi KHali hath

    main to apne makan mein tha hi nahin

    bas purani ghisi-piTi baaten

    rang taza bayan mein tha hi nahin

    phiki phiki bahaar guzri hai

    rang apna KHizan mein tha hi nahin

    hum ne sun kar bhi an-suni kar di

    kuchh tassur azan mein tha hi nahin

    mere sar ke liye jo ho mauzun

    sang wo aastan mein tha hi nahin

    der se KHamushi hai KHema-zan

    shor kya karwan mein tha hi nahin

    aa raha tha zamin ki jaanib

    waswasa aasman mein tha hi nahin

    Source:

    Waraq-e-saadah (Gazals) (Pg. 25)

    • Author: Hamdam Kashmiri
      • Edition: 2012
      • Publisher: Hamdam Kashmiri, Khan Mahel, Shrinagar
      • Year of Publication: 2012
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now