wahshat-e-dasht se ghabrana nahin ham-safaran
vahshat-e-dasht se ghabrānā nahīñ ham-safarāñ
ab hameñ lauT ke bhī jaanā nahīñ ham-safarāñ
ajnabī shahr se kyā talḳh-navā.ī kā gila
ham ko jab apnoñ ne pahchānā nahīñ ham-safarāñ
ret par der talak rang dikhā.egā badan
is ko 'ujlat meñ hī dafnānā nahīñ ham-safarāñ
is añdhere meñ hī chamkegī koī sham'-e-hayāt
tum kisī daam meñ bas aanā nahīñ ham-safarāñ
wahshat-e-dasht se ghabrana nahin ham-safaran
ab hamein lauT ke bhi jaana nahin ham-safaran
ajnabi shahr se kya talKH-nawai ka gila
hum ko jab apnon ne pahchana nahin ham-safaran
ret par der talak rang dikhaega badan
is ko 'ujlat mein hi dafnana nahin ham-safaran
is andhere mein hi chamkegi koi sham'-e-hayat
tum kisi dam mein bas aana nahin ham-safaran
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.