Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wahshat ka rang barsar-e-paikar phir hua

Meem Sheen Najmi

wahshat ka rang barsar-e-paikar phir hua

Meem Sheen Najmi

MORE BYMeem Sheen Najmi

    vahshat rañg barsar-e-paikār phir huā

    ik aks aa.ine se numūdār phir huā

    darpesh ek chashma-e-zahrāb thā magar

    dil tishna-lab thā is liye mai-ḳhvār phir huā

    phir hañs paḌā nazar meñ gul-pairahan chaak

    mausam junūñ bā.is-e-āzār phir huā

    sūraj ne vo sulūk kiyā zindagī ke saath

    insān tīrgī parastār phir huā

    mujh meñ simaT ke rah ga.iiñ duniyā vus.ateñ

    uḌne chalā thā maiñ ki giraftār phir huā

    bas ek nigāh meñ gum ho ga.e havās

    'najmī' jo us hasīn dīdār phir huā

    wahshat ka rang barsar-e-paikar phir hua

    ek aks aaine se numudar phir hua

    darpesh ek chashma-e-zahrab tha magar

    dil tishna-lab tha is liye mai-KHwar phir hua

    phir hans paDa nazar mein gul-pairahan ka chaak

    mausam junun ka bais-e-azar phir hua

    suraj ne wo suluk kiya zindagi ke sath

    insan tirgi ka parastar phir hua

    mujh mein simaT ke rah gain duniya ki wusaten

    uDne chala tha main ki giraftar phir hua

    bas ek hi nigah mein gum ho gae hawas

    'najmi' jo us hasin ka didar phir hua

    Source:

    Dhoop Chhaun Ke Darmiyan (Pg. 93)

    • Author: Meem Sheen Najmi
      • Publisher: News Town Publishers, Mumbai
      • Year of Publication: 2016
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now