Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

waise to ham-safar hain sabhi raston mein log

Mohsin Zaidi

waise to ham-safar hain sabhi raston mein log

Mohsin Zaidi

MORE BYMohsin Zaidi

    vaise to ham-safar haiñ sabhī rāstoñ meñ log

    lekin bañTe hue haiñ ka.ī qāfiloñ meñ log

    chehra agarche apnā nahīñ dūsre hai

    ḳhush phir bhī 'aks dekh ke haiñ ā.inoñ meñ log

    achchhā hai duur abhī jo haqā.eq nazar se haiñ

    leñge thoḌī der yūñhī āsroñ meñ log

    shab ko diye jalānā bujhā denā sub.h ko

    masrūf rāt-din haiñ inhīñ mashġhaloñ meñ log

    sab jānte haiñ kaun hai qātil zamāne meñ

    laate haiñ aisī baat kahīñ tazkaroñ meñ log

    ye rāh-e-haq ye jāda-e-'irfān-o-āgahī

    maare ga.e haiñ jaañ se inhīñ rāstoñ meñ log

    'mohsin' ye dasht-e-jāñ safar sair-e-gul nahīñ

    chal to paḌe haiñ ghar se baḌe valvaloñ meñ log

    waise to ham-safar hain sabhi raston mein log

    lekin banTe hue hain kai qafilon mein log

    chehra agarche apna nahin dusre ka hai

    KHush phir bhi 'aks dekh ke hain aainon mein log

    achchha hai dur abhi jo haqaeq nazar se hain

    ji lenge thoDi der yunhi aasron mein log

    shab ko diye jalana bujha dena subh ko

    masruf raat-din hain inhin mashghalon mein log

    sab jaante hain kaun hai qatil zamane mein

    late hain aisi baat kahin tazkaron mein log

    ye rah-e-haq ye jada-e-'irfan-o-agahi

    mare gae hain jaan se inhin raston mein log

    'mohsin' ye dasht-e-jaan ka safar sair-e-gul nahin

    chal to paDe hain ghar se baDe walwalon mein log

    Source:

    Tahreek Jild 22 Shumara 10 January 1975-Svk (Pg. 15)

      • Publisher: Gopal Mittal
      • Year of Publication: 1975
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now