Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

waise to the yar bahut par kisi ne mujhe pahchana tha

Yusuf Taqi

waise to the yar bahut par kisi ne mujhe pahchana tha

Yusuf Taqi

MORE BYYusuf Taqi

    vaise to the yaar bahut par kisī ne mujhe pahchānā thā

    tum ne bas ik samjhā mujh ko tum ne bas ik jaanā thā

    tum bin sajnī jīvan apnā suunā āñgan TuuTā sapnā

    dil ko tum se raah thī utnī ham ne kab ye jaanā thā

    maiñ to paapī merī ḳhātir apnā sab kuchh daan kiyā kyuuñ

    duniyā jaisī pyārī bastī aise chhoḌ ke jaanā thā

    maut aur dil par kisī ko qaabū aa.e to apnī marzī aa.e

    merī ḳhātir jaan gañvānā yaaro ek bahānā thā

    maiñ ne yaaro tum se sunā thā vaqt marham bhar de har ġham

    aglī pichhlī saarī bāteñ mujh ko bhuul jaanā thā

    bhor bichhḌā sāñjh ko lauTā apne kiye par pahroñ royā

    dil biinā TuuT ga.ī thī phir bhī tum ko gaanā thā

    waise to the yar bahut par kisi ne mujhe pahchana tha

    tum ne bas ek samjha mujh ko tum ne bas ek jaana tha

    tum bin sajni jiwan apna suna aangan TuTa sapna

    dil ko tum se rah thi utni hum ne kab ye jaana tha

    main to papi meri KHatir apna sab kuchh dan kiya kyun

    duniya jaisi pyari basti aise chhoD ke jaana tha

    maut aur dil par kisi ko qabu aae to apni marzi aae

    meri KHatir jaan ganwana yaro ek bahana tha

    main ne yaro tum se suna tha waqt ka marham bhar de har gham

    agli pichhli sari baaten mujh ko bhul hi jaana tha

    bhor ka bichhDa sanjh ko lauTa apne kiye par pahron roya

    dil ki bina TuT gai thi phir bhi tum ko gana tha

    Source:

    Khushk Tahni Zard Pattay (Pg. 67)

    • Author: Yousuf Taqi
      • Edition: 2003
      • Publisher: Yousuf Taqi
      • Year of Publication: 2003
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now