Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wajd-e-ahl-e-kamal hai kuchh aur

Meer Mohammadi Bedar

wajd-e-ahl-e-kamal hai kuchh aur

Meer Mohammadi Bedar

MORE BYMeer Mohammadi Bedar

    vajd-e-ahl-e-kamāl hai kuchh aur

    shaiḳh-sāhib haal hai kuchh aur

    hosh jaatā hai ahl-e-hosh sun

    tere mastoñ haal hai kuchh aur

    faḳhr-e-insāñ nahīñ malak honā

    meñ apne ḳhayāl hai kuchh aur

    jis ko kahte haiñ vasl vasl nahīñ

    ma.anī-e-ittisāl hai kuchh aur

    ġhair-e-harf-e-niyāz so bhī kabhū

    kah sakūñ huuñ majāl hai kuchh aur

    ruḳh-e-ḳhurshīd par kahāñ vo nuur

    mere mah jamāl hai kuchh aur

    sarv! da.avā-e-ham-sarī mat kar

    vo qad-e-naunihāl hai kuchh aur

    kabk ḳhush-ḳhirām hai lekin

    yaar mere chaal hai kuchh aur

    dekh chal bhī hālat-e-'bedār'

    aaj us to haal hai kuchh aur

    wajd-e-ahl-e-kamal hai kuchh aur

    shaiKH-sahib ka haal hai kuchh aur

    hosh jata hai ahl-e-hosh ka sun

    tere maston ka haal hai kuchh aur

    faKHr-e-insan nahin malak hona

    ji mein apne KHayal hai kuchh aur

    jis ko kahte hain wasl wasl nahin

    mani-e-ittisal hai kuchh aur

    ghair-e-harf-e-niyaz so bhi kabhu

    kah sakun hun majal hai kuchh aur

    ruKH-e-KHurshid par kahan wo nur

    mere mah ka jamal hai kuchh aur

    sarw! dawa-e-ham-sari mat kar

    wo qad-e-naunihaal hai kuchh aur

    kabk tu KHush-KHiram hai lekin

    yar ki mere chaal hai kuchh aur

    dekh chal tu bhi haalat-e-'bedar'

    aaj us ka to haal hai kuchh aur

    Source:

    Deewan-e-Bedar (Pg. 38)

    • Author: Meer Mohammadi Bedar
      • Edition: 1935
      • Publisher: Shahi Press, Madras
      • Year of Publication: 1935
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now