aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wajd ho bulbul-e-taswir ko jis ki bu se

Meer Anees

wajd ho bulbul-e-taswir ko jis ki bu se

Meer Anees

MORE BYMeer Anees

    vajd ho bulbul-e-tasvīr ko jis se

    us se gul-rang da.avā kare phir kis se

    sham.a ke rone pe bas saaf hañsī aatī hai

    ātish-e-dil kahīñ kam hotī hai chaar aañsū se

    ek din vo thā ki takiya thā kisī baazū

    ab sar uThtā nahīñ apne sar-e-zānu se

    naz'a meñ huuñ mirī mushkil karo āsāñ yāroñ

    kholo ta'vīz-e-shifā jald mire baazū se

    shoḳhī-e-chashm kis hai dīvāna 'anīs'

    āñkheñ maltā hai jo yuuñ naqsh-e-kaf-e-āhu se

    wajd ho bulbul-e-taswir ko jis ki bu se

    us se gul-rang ka dawa kare phir kis ru se

    shama ke rone pe bas saf hansi aati hai

    aatish-e-dil kahin kam hoti hai chaar aansu se

    ek din wo tha ki takiya tha kisi ka bazu

    ab sar uThta hi nahin apne sar-e-zanu se

    naz'a mein hun meri mushkil karo aasan yaron

    kholo ta'wiz-e-shifa jald mere bazu se

    shoKHi-e-chashm ka tu kis ki hai diwana 'anis'

    aankhen malta hai jo yun naqsh-e-kaf-e-ahu se

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now