Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wajud par inhisar maine nahin kiya tha

Mohammad Izhar ul Haq

wajud par inhisar maine nahin kiya tha

Mohammad Izhar ul Haq

MORE BYMohammad Izhar ul Haq

    Interesting Fact

    Vol 134, 1985

    vajūd par inhisār maiñ ne nahīñ kiyā thā

    ki ḳhaak e.atibār maiñ ne nahīñ kiyā thā

    safed resham oḌhnī mere haath meñ thī

    magar use dāġhdār maiñ ne nahīñ kiyā thā

    ye be-niyāzī ḳhū mire husn meñ bahut thī

    magar use be-qarār maiñ ne nahīñ kiyā thā

    kahīñ se yak-laḳht zindagī merī kaaT degā

    jo rāsta iḳhtiyār maiñ ne nahīñ kiyā thā

    sumoñ tale rauñd de ḳhushī se magar ye sun le

    gunāh ai shahsavār maiñ ne nahīñ kiyā thā

    dikhā.ī dene lagā vo ik tīsrā kināra

    abhī javānī ko paar maiñ ne nahīñ kiyā thā

    ġhurūb vaqt thā muqarrar so chal paḌā maiñ

    kisī phir intizār maiñ ne nahīñ kiyā thā

    wajud par inhisar main ne nahin kiya tha

    ki KHak ka eatibar main ne nahin kiya tha

    safed resham ki oDhni mere hath mein thi

    magar use daghdar main ne nahin kiya tha

    ye be-niyazi ki KHu mere husn mein bahut thi

    magar use be-qarar main ne nahin kiya tha

    kahin se yak-laKHt zindagi meri kaT dega

    jo rasta iKHtiyar main ne nahin kiya tha

    sumon tale raund de KHushi se magar ye sun le

    gunah ai shahsawar main ne nahin kiya tha

    dikhai dene laga wo ek tisra kinara

    abhi jawani ko par main ne nahin kiya tha

    ghurub ka waqt tha muqarrar so chal paDa main

    kisi ka phir intizar main ne nahin kiya tha

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Unknown

    Unknown

    Source:

    Shabkhoon (Urdu Monthly) (Pg. 1676)

    • Author: Shamsur Rahman Faruqi
      • Edition: June December 2005áIssue No. 293 To 299âPart II
      • Publisher: Shabkhoon Po. Box No.13, 313 rani Mandi Allahabad
      • Year of Publication: June December 2005áIssue No. 293 To 299âPart II
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now