waqar-e-dard-o-gham-e-zindagi nahin malum
vaqār-e-dard-o-ġham-e-zindagī nahīñ mālūm
nahīñ hai aadmī kyoñ aadmī nahīñ mālūm
sulūk-e-dost kā shikva nahīñ magar kab tak
hameñ Dubo.egī ye sādgī nahīñ mālūm
tamām umr rahe hādisa-shikār magar
rahī kyoñ yaad tirī choT hī nahīñ mālūm
ġhazab ki pyaar kī rāhoñ meñ aaj chal nikle
vo jin ko nām-e-vafā bhī abhī nahīñ mālūm
chaman khilā to chuke ham jarāhat-e-dil kā
kalī khilegī kab ik aas kī nahīñ mālūm
sukūn-e-dil na qarār-e-hayāt hai ham ko
ho ḳhatm kab ye navāzish tirī nahīñ mālūm
hamāre pyaar ko 'shāġhil' na mil sakegā pyaar
hameñ kahegā bhī apnā koī nahīñ mālūm
waqar-e-dard-o-gham-e-zindagi nahin malum
nahin hai aadmi kyon aadmi nahin malum
suluk-e-dost ka shikwa nahin magar kab tak
hamein Duboegi ye sadgi nahin malum
tamam umr rahe hadisa-shikar magar
rahi kyon yaad teri choT hi nahin malum
ghazab ki pyar ki rahon mein aaj chal nikle
wo jin ko nam-e-wafa bhi abhi nahin malum
chaman khila to chuke hum jarahat-e-dil ka
kali khilegi kab ek aas ki nahin malum
sukun-e-dil na qarar-e-hayat hai hum ko
ho KHatm kab ye nawazish teri nahin malum
hamare pyar ko 'shaghil' na mil sakega pyar
hamein kahega bhi apna koi nahin malum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.