Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

waqt aafaq ke jangal ka jawan chita hai

Sher Afzal Jafri

waqt aafaq ke jangal ka jawan chita hai

Sher Afzal Jafri

MORE BYSher Afzal Jafri

    vaqt āfāq ke jañgal javāñ chītā hai

    merī duniyā ke ġhazāloñ lahū piitā hai

    ishq ne mar ke svayamvar meñ use jiitā hai

    dil sirī-rām hai dilbar razā siitā hai

    ab bhī ghanshyām hai is dasht buuTā buuTā

    barg ne aaj bhī insāñ ke liye giitā hai

    jagmagātī rahī ashkoñ se shab-e-tār-e-hayāt

    dīp-mālā tarah daur-e-alam biitā hai

    koī lahkā jo sar-e-dār to yazdāñ ne kahā

    ibn-e-ādam ne mah-o-sāl ran jiitā hai

    tujhe sajdoñ ke evaz mil na sakī rūh-e-bashar

    ham ne sar de ke ḳhudā.ī bharam jiitā hai

    waqt aafaq ke jangal ka jawan chita hai

    meri duniya ke ghazalon ka lahu pita hai

    ishq ne mar ke swayamwar mein use jita hai

    dil siri-ram hai dilbar ki raza sita hai

    ab bhi ghanshyam hai is dasht ka buTa buTa

    barg ne aaj bhi insan ke liye gita hai

    jagmagati rahi ashkon se shab-e-tar-e-hayat

    dip-mala ki tarah daur-e-alam bita hai

    koi lahka jo sar-e-dar to yazdan ne kaha

    ibn-e-adam ne mah-o-sal ka ran jita hai

    tujhe sajdon ke ewaz mil na saki ruh-e-bashar

    hum ne sar de ke KHudai ka bharam jita hai

    Source:

    Funoon(Jadeed Ghazal Number: Volume-002) (Pg. 337)

      • Edition: 1969
      • Publisher: Ahmad Nadeem Qasmi
      • Year of Publication: 1969
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now