Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

waqt-e-mayusi hai koi aasra baqi rahe

Mumtaz Rashid

waqt-e-mayusi hai koi aasra baqi rahe

Mumtaz Rashid

MORE BYMumtaz Rashid

    vaqt-e-māyūsī hai koī aasrā baaqī rahe

    ye duā hai āsmānoñ par ḳhudā baaqī rahe

    kuchh to ho logoñ ke pathrīle savāloñ javāb

    us ke hoñToñ par mirī tarz-e-navā baaqī rahe

    kuchh to ho banjar zamīnoñ ke sulagne sila

    dasht ke sar par koī kaalī ghaTā baaqī rahe

    jaane vāloñ ke liye kis ne lagā.ī ye sadā

    rāste kho jaa.eñ lekin hausla baaqī rahe

    āñdhiyoñ ke sāmne rakh de jo apne sab charāġh

    maiñ nahīñ to koī mujh dūsrā baaqī rahe

    kitnī tahrīreñ sajī haiñ vaqt dīvār par

    kaun kah saktā hai kyā miT jaa.e kyā baaqī rahe

    waqt-e-mayusi hai koi aasra baqi rahe

    ye dua hai aasmanon par KHuda baqi rahe

    kuchh to ho logon ke pathrile sawalon ka jawab

    us ke honTon par meri tarz-e-nawa baqi rahe

    kuchh to ho banjar zaminon ke sulagne ka sila

    dasht ke sar par koi kali ghaTa baqi rahe

    jaane walon ke liye kis ne lagai ye sada

    raste kho jaen lekin hausla baqi rahe

    aandhiyon ke samne rakh de jo apne sab charagh

    main nahin to koi mujh sa dusra baqi rahe

    kitni tahriren saji hain waqt ki diwar par

    kaun kah sakta hai kya miT jae kya baqi rahe

    Source:

    Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab (Pg. 506)

      • Edition: 1993
      • Publisher: Anjuman-e-Rooh-e-Adab, Allahabad
      • Year of Publication: 1993
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now