Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

waqt-e-ruKHsat har ek baat rone lagi

Mohammad Mohsin Sakhir Ansari

waqt-e-ruKHsat har ek baat rone lagi

Mohammad Mohsin Sakhir Ansari

MORE BYMohammad Mohsin Sakhir Ansari

    vaqt-e-ruḳhsat har ik baat rone lagī

    āḳhirī thī mulāqāt rone lagī

    sar jhukā.e añdheroñ āġhosh meñ

    jaane kyoñ rāt-bhar raat rone lagī

    justujū zindagī ko tabassum thī

    dekh kar talḳh hālāt rone lagī

    asp-o-farzīñ ga.e shutur bhī na rahe

    khā ke paidal se shah maat rone lagī

    dar se mun.im ke saa.il ko kuchh na milā

    ḳhālī dāman pe ḳhairāt rone lagī

    rahzanoñ ke sitam zulm ko dekh kar

    ab kamīñ-gāh meñ ghaat rone lagī

    be-gunāhī thī chehroñ se un ke ayaañ

    qaidiyoñ par havālāt rone lagī

    narmadā tāptī meñ lahū dekh kar

    gul-fishāñ ḳhāk-e-gujrāt rone lagī

    har qadam sāzisheñ qatl-o-ġhārat-garī

    azmat-e-hind haihāt rone lagī

    buġhz-o-nafrat ke sailāb meñ ġhota-zan

    gangā-jamanī musāvāt rone lagī

    sar matāf-e-haram meñ jhukā jab kabhī

    lab pe 'sāḳhir' munājāt rone lagī

    waqt-e-ruKHsat har ek baat rone lagi

    aaKHiri thi mulaqat rone lagi

    sar jhukae andheron ki aaghosh mein

    jaane kyon raat-bhar raat rone lagi

    justuju zindagi ko tabassum ki thi

    dekh kar talKH haalat rone lagi

    asp-o-farzin gae shutur bhi na rahe

    kha ke paidal se shah mat rone lagi

    dar se munim ke sail ko kuchh na mila

    KHali daman pe KHairaat rone lagi

    rahzanon ke sitam zulm ko dekh kar

    ab kamin-gah mein ghat rone lagi

    be-gunahi thi chehron se un ke ayan

    qaidiyon par hawalat rone lagi

    narmada tapti mein lahu dekh kar

    gul-fishan KHak-e-gujraat rone lagi

    har qadam sazishen qatl-o-ghaarat-gari

    azmat-e-hind haihat rone lagi

    bughz-o-nafrat ke sailab mein ghota-zan

    ganga-jamani musawat rone lagi

    sar mataf-e-haram mein jhuka jab kabhi

    lab pe 'saKHir' munajat rone lagi

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now