Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

waqt-e-ruKHsat jo koi ashk gira hota hai

Ahmad Adil

waqt-e-ruKHsat jo koi ashk gira hota hai

Ahmad Adil

MORE BYAhmad Adil

    vaqt-e-ruḳhsat jo koī ashk girā hotā hai

    is se andāza-e-tajdīd-e-vafā hotā hai

    mujh ko inkār aadat hai vagarna sāhib

    aap hukm durust aur bajā hotā hai

    zindagī aañkh jhapakte meñ guzar jaatī hai

    kārvāñ vaqt tezī se chalā hotā hai

    dastakeñ band kivāḌoñ pe diye jaate ho

    jabki dar us har ik vaqt khulā hotā hai

    in lakīroñ meñ sabhī Duub ga.iiñ tadbīreñ

    kyā talātum mire hāthoñ meñ likhā hotā hai

    rāsta ek hai sab qāfile vāloñ magar

    uzr manzil pe pahuñchne judā hotā hai

    ruuh tak jism se is tarah judā hotī hai

    jaise qaidī koī zindāñ se rihā hotā hai

    kaise kah duuñ ki vo maujūd nahīñ hai 'ādil'

    raat din jise paane meñ lagā hotā hai

    waqt-e-ruKHsat jo koi ashk gira hota hai

    is se andaza-e-tajdid-e-wafa hota hai

    mujh ko inkar ki aadat hai wagarna sahib

    aap ka hukm durust aur baja hota hai

    zindagi aankh jhapakte mein guzar jati hai

    karwan waqt ka tezi se chala hota hai

    dastaken band kiwaDon pe diye jate ho

    jabki dar us ka har ek waqt khula hota hai

    in lakiron mein sabhi Dub gain tadbiren

    kya talatum mere hathon mein likha hota hai

    rasta ek hai sab qafile walon ka magar

    uzr manzil pe pahunchne ka juda hota hai

    ruh tak jism se is tarah juda hoti hai

    jaise qaidi koi zindan se riha hota hai

    kaise kah dun ki wo maujud nahin hai 'adil'

    raat din tu jise pane mein laga hota hai

    Source:

    Aalam-e-Imkan (Pg. 66)

    • Author: Ahmad Adil
      • Publisher: Al-Hamd Publications, Lahore
      • Year of Publication: 2021
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now