waqt ka jhonka jo sab patte uDa kar le gaya
vaqt kā jhoñkā jo sab patte uḌā kar le gayā
kyuuñ na mujh ko bhī tire dar se uThā kar le gayā
raat apne chāhne vāloñ pe thā vo mehrbāñ
maiñ na jaatā thā magar vo mujh ko aa kar le gayā
ek sail-e-be-amāñ jo āsiyoñ ko thā sazā
nek logoñ ke gharoñ ko bhī bahā kar le gayā
maiñ ne darvāza na rakkhā thā ki Dartā thā magar
ghar kā sarmāya vo dīvāreñ girā kar le gayā
vo ayādat ko to aayā thā magar jaate hue
apnī tasvīreñ bhī kamre se uThā kar le gayā
maiñ jise barsoñ kī chāhat se na hāsil kar sakā
ek ham-sāya use kal varġhalā kar le gayā
saj rahī thī jins jo bāzār meñ ik umr se
kal use ik shaḳhs pardoñ meñ chhupā kar le gayā
maiñ khaḌā fōtpath par kartā rahā rickshaw talāsh
merā dushman us ko motor meñ biThā kar le gayā
so rahā huuñ meñ liye ḳhālī lifāfa haath meñ
us meñ jo mazmūñ thā vo qāsid churā kar le gayā
raqs ke vaqfe meñ jab karne ko thā maiñ arz-e-shauq
koī us ko mere pahlū se uThā kar le gayā
ai azāb-e-dostī mujh ko batā mere sivā
kaun thā jo tujh ko siine se lagā kar le gayā
mehrbāñ kaise kahūñ maiñ 'arsh' us bedard ko
nuur āñkhoñ kā jo ik jalva dikhā kar le gayā
waqt ka jhonka jo sab patte uDa kar le gaya
kyun na mujh ko bhi tere dar se uTha kar le gaya
raat apne chahne walon pe tha wo mehrban
main na jata tha magar wo mujh ko aa kar le gaya
ek sail-e-be-aman jo aasiyon ko tha saza
nek logon ke gharon ko bhi baha kar le gaya
main ne darwaza na rakkha tha ki Darta tha magar
ghar ka sarmaya wo diwaren gira kar le gaya
wo ayaadat ko to aaya tha magar jate hue
apni taswiren bhi kamre se uTha kar le gaya
main jise barson ki chahat se na hasil kar saka
ek ham-saya use kal warghala kar le gaya
saj rahi thi jins jo bazar mein ek umr se
kal use ek shaKHs pardon mein chhupa kar le gaya
main khaDa footpath par karta raha rickshaw talash
mera dushman us ko motor mein biTha kar le gaya
so raha hun mein liye KHali lifafa hath mein
us mein jo mazmun tha wo qasid chura kar le gaya
raqs ke waqfe mein jab karne ko tha main arz-e-shauq
koi us ko mere pahlu se uTha kar le gaya
ai azab-e-dosti mujh ko bata mere siwa
kaun tha jo tujh ko sine se laga kar le gaya
mehrban kaise kahun main 'arsh' us bedard ko
nur aankhon ka jo ek jalwa dikha kar le gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.