Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

waqt ka kya hai taqaza nahin dekha jata

Momin Khan Shauq

waqt ka kya hai taqaza nahin dekha jata

Momin Khan Shauq

MORE BYMomin Khan Shauq

    vaqt kyā hai taqāzā nahīñ dekhā jaatā

    ishq meñ adnā-o-a.alā nahīñ dekhā jaatā

    ek vaqt meñ mil jaa.e to pīchhā chhūTe

    zindagī bhar sulagnā nahīñ dekhā jaatā

    ye shab-o-roz ye mausam ye badalte manzar

    rāt-din ye tamāshā nahīñ dekhā jaatā

    aa.ina dekh ke ham ḳhud ko na pahchān sake

    apne chehre bikharnā nahīñ dekhā jaatā

    jaane hālāt hameñ aur dikhā.eñ kyā kyā

    nasl-e-nau ye bahaknā nahīñ dekhā jaatā

    sho.abada-bāz siyāsat se to baaz aa.e ham

    kyā kareñ ham se dikhāvā nahīñ dekhā jaatā

    'shauq' us ḳhvāb ta.abīr milī hai aisī

    ab koī ḳhvāb suhānā nahīñ dekhā jaatā

    waqt ka kya hai taqaza nahin dekha jata

    ishq mein adna-o-ala nahin dekha jata

    ek hi waqt mein mil jae to pichha chhuTe

    zindagi bhar ka sulagna nahin dekha jata

    ye shab-o-roz ye mausam ye badalte manzar

    raat-din ka ye tamasha nahin dekha jata

    aaina dekh ke hum KHud ko na pahchan sake

    apne chehre ka bikharna nahin dekha jata

    jaane haalat hamein aur dikhaen kya kya

    nasl-e-nau ka ye bahakna nahin dekha jata

    shoabada-baz siyasat se to baz aae hum

    kya karen hum se dikhawa nahin dekha jata

    'shauq' us KHwab ki tabir mili hai aisi

    ab koi KHwab suhana nahin dekha jata

    Source:

    Nishat-e-Aarzu (Pg. 31)

    • Author: Momin Khan Shauq
      • Publisher: Ejaz Printing Press, Hyderabad
      • Year of Publication: 1993
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now