Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

waqt ka zalim andhera chha gaya tadbir par

Ziya Shahzad

waqt ka zalim andhera chha gaya tadbir par

Ziya Shahzad

MORE BYZiya Shahzad

    vaqt zālim añdherā chhā gayā tadbīr par

    bas kahāñ chaltā hai kuchh insān taqdīr par

    yaas meñ Duubī haiñ āñkheñ aur pazhmurda se lab

    aap dekheñge to hañs deñge mirī tasvīr par

    aap ke maktūb se zaḳhmoñ ke lab phir khul ga.e

    shukriya-sad-shukriya is shoḳhi-e-tahrīr par

    maiñ agar mahfil meñ us ho gayā rusvā to kyā

    aap to ḳhush ho ga.e ai dost is tahqīr par

    muflisī dīvāngī āvārgī merā nasīb

    dang huuñ logo suhāne ḳhvāb ta.abīr par

    maiñ agar bad-nām ho jā.ūñ to merā hai bhalā

    kyā milegā tum ko merī muft tash.hīr par

    dil bastī meñ haiñ garche ārzūoñ ke khañDar

    phir bhī huuñ 'shahzād' nāzāñ apnī is jāgīr par

    waqt ka zalim andhera chha gaya tadbir par

    bas kahan chalta hai kuchh insan ka taqdir par

    yas mein Dubi hain aankhen aur pazhmurda se lab

    aap dekhenge to hans denge meri taswir par

    aap ke maktub se zaKHmon ke lab phir khul gae

    shukriya-sad-shukriya is shoKHi-e-tahrir par

    main agar mahfil mein us ki ho gaya ruswa to kya

    aap to KHush ho gae ai dost is tahqir par

    muflisi diwangi aawargi mera nasib

    dang hun logo suhane KHwab ki tabir par

    main agar bad-nam ho jaun to mera hai bhala

    kya milega tum ko meri muft ki tashhir par

    dil ki basti mein hain garche aarzuon ke khanDar

    phir bhi hun 'shahzad' nazan apni is jagir par

    Source:

    Hijr Ka Tamasha (Pg. 89)

    • Author: Ziya Shahzad
      • Publisher: Sana Academy, Karachi
      • Year of Publication: 2014
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now