Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

waqt ke dar par bhi hai bahut kuchh waqt ke dar se aage bhi

Kaleem Aajiz

waqt ke dar par bhi hai bahut kuchh waqt ke dar se aage bhi

Kaleem Aajiz

MORE BYKaleem Aajiz

    vaqt ke dar par bhī hai bahut kuchh vaqt ke dar se aage bhī

    shām-o-sahar ke saath bhī chaliye shām-o-sahar se aage bhī

    aql-o-ḳhirad ke hañgāmoñ meñ shauq dāman chhūT na jaa.e

    shauq bashar ko le jaatā hai aql-e-bashar se aage bhī

    dār-o-rasan resha-davānī gardan-o-sar tak rahtī hai

    ahl-e-junūñ paañv rahā hai gardan-o-sar se aage bhī

    mere ghar ko aag lagā kar ham-sāyoñ ko hañsne do

    sho.ale baḌh kar pahuñcheñge mere ghar se aage bhī

    ishq ne rāh-e-vafā samjhā.ī samjhāne ke ba.ad kahā

    vaqt paḌā to jaanā hogā rāhguzar se aage bhī

    shā.er fikr-o-nazar mālik dil sultāñ ghar faqīr

    duniyā pāmāl qadam bhī duniyā bhar se aage bhī

    āñkheñ jo kuchh dekh rahī haiñ us se dhokā khā.eñ kyā

    dil to 'ājiz' dekh rahā hai hadd-e-nazar se aage bhī

    waqt ke dar par bhi hai bahut kuchh waqt ke dar se aage bhi

    sham-o-sahar ke sath bhi chaliye sham-o-sahar se aage bhi

    aql-o-KHirad ke hangamon mein shauq ka daman chhuT na jae

    shauq bashar ko le jata hai aql-e-bashar se aage bhi

    dar-o-rasan ki resha-dawani gardan-o-sar tak rahti hai

    ahl-e-junun ka panw raha hai gardan-o-sar se aage bhi

    mere ghar ko aag laga kar ham-sayon ko hansne do

    shoale baDh kar ja pahunchenge mere ghar se aage bhi

    ishq ne rah-e-wafa samjhai samjhane ke baad kaha

    waqt paDa to jaana hoga rahguzar se aage bhi

    shaer fikr-o-nazar ka malik dil ka sultan ghar ka faqir

    duniya ka pamal qadam bhi duniya bhar se aage bhi

    aankhen jo kuchh dekh rahi hain us se dhoka khaen kya

    dil to 'ajiz' dekh raha hai hadd-e-nazar se aage bhi

    Source:

    Jab Fasl-e-baharn aai thi (Pg. 150)

    • Author: padm Shri Dr. Kaleem Ahmed Aajiz
      • Edition: 1990
      • Publisher: Sunrise Plastic Works, Patna
      • Year of Publication: 1990
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now