waqt ke par qainchiyan le kar katar sakta hai kaun

waqt ke par qainchiyan le kar katar sakta hai kaun
Ahteramulhaque Siddiqui
MORE BYAhteramulhaque Siddiqui
vaqt ke par qaiñchiyāñ le kar katar saktā hai kaun
is parinde ko qafas meñ qaid kar saktā hai kaun
titliyāñ kaliyāñ ye gul-būTe ye husn-e-kā.enāt
juz ḳhudā tasvīr meñ ye rang bhar saktā hai kaun
bhuuk kī shiddat kā hai maanā shikam-serī 'ilāj
nāqa-e-hirs-o-havas kā peT bhar saktā hai kaun
'aks DhūñDe kaun tā'bīroñ ke chashm-e-ḳhvāb meñ
in kaTīlī shāh-rāhoñ se guzar saktā hai kaun
ho bachānā jab use dariyā meñ kar de rāste
vo Dubone par agar aa.e ubhar saktā hai kaun
sang-dil ko narm-o-nāzuk phuul kar to luuñ magar
terī ḳhushbū kī tarah mujh meñ utar saktā hai kaun
kis kī himmat hai amīr-e-vaqt se āñkheñ milā.e
chaḌhte sūraj se nigāheñ chaar kar saktā hai kaun
jis kī chhat par shaam tak baiThī rahe saffāk dhuup
mom kā us ghar meñ kārobār kar saktā hai kaun
ḳhvāhishoñ kī fasl bo denā bahut āsāñ 'sharar'
'umr bhar lekin ise sairāb kar saktā hai kaun
waqt ke par qainchiyan le kar katar sakta hai kaun
is parinde ko qafas mein qaid kar sakta hai kaun
titliyan kaliyan ye gul-buTe ye husn-e-kaenat
juz KHuda taswir mein ye rang bhar sakta hai kaun
bhuk ki shiddat ka hai mana shikam-seri 'ilaj
naqa-e-hirs-o-hawas ka peT bhar sakta hai kaun
'aks DhunDe kaun ta'biron ke chashm-e-KHwab mein
in kaTili shah-rahon se guzar sakta hai kaun
ho bachana jab use dariya mein kar de raste
wo Dubone par agar aae ubhar sakta hai kaun
sang-dil ko narm-o-nazuk phul kar to lun magar
teri KHushbu ki tarah mujh mein utar sakta hai kaun
kis ki himmat hai amir-e-waqt se aankhen milae
chaDhte suraj se nigahen chaar kar sakta hai kaun
jis ki chhat par sham tak baiThi rahe saffak dhup
mom ka us ghar mein karobar kar sakta hai kaun
KHwahishon ki fasl bo dena bahut aasan 'sharar'
'umr bhar lekin ise sairab kar sakta hai kaun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.