Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

waqt ke taqazon ko is tarah bhi samjha kar

Mohsin Bhopali

waqt ke taqazon ko is tarah bhi samjha kar

Mohsin Bhopali

MORE BYMohsin Bhopali

    vaqt ke taqāzoñ ko is tarah bhī samjhā kar

    aaj gavāhī par mat qayās-e-fardā kar

    tere har ravayye meñ bad-gumāniyāñ kaisī

    jab talak hai duniyā meñ e'tibār-e-duniyā kar

    jis ne zindagī hai vo bhī sochtā hogā

    zindagī ke baare meñ is qadar na sochā kar

    harf o lab se hotā hai kab adā har ik mafhūm

    be-zabān āñkhoñ guftugū bhī samjhā kar

    ek din yahī aadat tujh ko ḳhuuñ rulā.egī

    jo yuuñ parakhtā hai har kisī ko apnā kar

    ye badaltī qadreñ hāsil-e-zamāna haiñ

    baar baar maazī ke yuuñ varaq na ulTā kar

    ḳhuuñ rulā.enge manzar mat qarīb aa 'mohsin'

    ā.īna-kada hai dahr duur se tamāshā kar

    waqt ke taqazon ko is tarah bhi samjha kar

    aaj ki gawahi par mat qayas-e-farda kar

    tere har rawayye mein bad-gumaniyan kaisi

    jab talak hai duniya mein e'tibar-e-duniya kar

    jis ne zindagi di hai wo bhi sochta hoga

    zindagi ke bare mein is qadar na socha kar

    harf o lab se hota hai kab ada har ek mafhum

    be-zaban aankhon ki guftugu bhi samjha kar

    ek din yahi aadat tujh ko KHun rulaegi

    tu jo yun parakhta hai har kisi ko apna kar

    ye badalti qadren hi hasil-e-zamana hain

    bar bar mazi ke yun waraq na ulTa kar

    KHun rulaenge manzar mat qarib aa 'mohsin'

    aaina-kada hai dahr dur se tamasha kar

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    waqt ke taqazon ko is tarah bhi samjha kar Nomaan Shauque

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now