Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

waqt KHud ka KHud-baKHud hi ab hamein lana paDega

Nikita Pareek

waqt KHud ka KHud-baKHud hi ab hamein lana paDega

Nikita Pareek

MORE BYNikita Pareek

    vaqt ḳhud ḳhud-baḳhud ab hameñ laanā paḌegā

    valvale meñ aa ke ham ko ḳhuun mahkānā paḌegā

    tīrgī taqdīr gar ḳhatm karnī hai hameñ to

    phir hameñ apnā sitārā aap chamkānā paḌegā

    zindagī lutf uThāne agar ḳhvāhish hai dil meñ

    to javānī meñ hameñ kuchh bachpanā laanā paḌegā

    gar nujūmī koī paḌh saktā hai hāthoñ lakīreñ

    maut merī use tai vaqt batlānā paḌegā

    is ḳhudā ne kāmyābī ko rakhā ūñchī jagah par

    ab to mehnat kar ke ham ko vahāñ jaanā paḌegā

    waqt KHud ka KHud-baKHud hi ab hamein lana paDega

    walwale mein aa ke hum ko KHun mahkana paDega

    tirgi taqdir ki gar KHatm karni hai hamein to

    phir hamein apna sitara aap chamkana paDega

    zindagi ka lutf uThane ki agar KHwahish hai dil mein

    to jawani mein hamein kuchh bachpana lana paDega

    gar nujumi koi paDh sakta hai hathon ki lakiren

    maut ka meri use tai waqt batlana paDega

    is KHuda ne kaamyabi ko rakha unchi jagah par

    ab to mehnat kar ke hi hum ko wahan jaana paDega

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now