Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

waqt KHush-KHush kaTne ka mashwara dete hue

Riaz Majeed

waqt KHush-KHush kaTne ka mashwara dete hue

Riaz Majeed

MORE BYRiaz Majeed

    vaqt ḳhush-ḳhush kāTne mashvara dete hue

    ro paḌā vo aap mujh ko hausla dete hue

    us se kab dekhī ga.ī thī mere ruḳh murdanī

    pher letā thā vo muñh mujh ko davā dete hue

    ḳhvāb-e-be-ta.abīr socheñ mire kis kaam

    sochtā itnā to vo dast-e-atā dete hue

    be-zabānī baḳhsh ḳhud-ehtisābī ne mujhe

    hoñT sil jaate haiñ duniyā ko gila dete hue

    apnī rah masdūd kar degā yahī baḌhtā hujūm

    ye na sochā har kisī ko rāsta dete hue

    āp-apne qatl meñ shāmil thā maiñ maqtūl-e-shauq

    ye khulā mujh par talab ḳhūñ-bahā dete hue

    vo hameñ jab tak nazar aatā rahā takte rahe

    giilī āñkhoñ ukhḌe lafzoñ se duā dete hue

    jaane kis dahshat saaya us ko mohr-e-lab huā

    Dar rahā hai vo mujhe khul kar sadā dete hue

    be-amāñ thā aap lekin mo.ajaza hai ye 'riyāz'

    hāla-e-shafqat thā us ko aasrā dete hue

    waqt KHush-KHush kaTne ka mashwara dete hue

    ro paDa wo aap mujh ko hausla dete hue

    us se kab dekhi gai thi mere ruKH ki murdani

    pher leta tha wo munh mujh ko dawa dete hue

    KHwab-e-be-tabir si sochen mere kis kaam ki

    sochta itna to wo dast-e-ata dete hue

    be-zabani baKHsh di KHud-ehtisabi ne mujhe

    honT sil jate hain duniya ko gila dete hue

    apni rah masdud kar dega yahi baDhta hujum

    ye na socha har kisi ko rasta dete hue

    aap-apne qatl mein shamil tha main maqtul-e-shauq

    ye khula mujh par talab ka KHun-baha dete hue

    wo hamein jab tak nazar aata raha takte rahe

    gili aankhon ukhDe lafzon se dua dete hue

    jaane kis dahshat ka saya us ko mohr-e-lab hua

    Dar raha hai wo mujhe khul kar sada dete hue

    be-aman tha aap lekin moajaza hai ye 'riyaz'

    haala-e-shafqat tha us ko aasra dete hue

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now