Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

waqt ki qaid se aazad karane aae

Basheer Ahmad Shad

waqt ki qaid se aazad karane aae

Basheer Ahmad Shad

MORE BYBasheer Ahmad Shad

    vaqt qaid se āzād karāne aa.e

    āḳhirī vaqt mujhe muñh dikhāne aa.e

    in dinoñ merī tabī.at meñ hai mad-hoshī

    us se kah do ki mirā dard jagāne aa.e

    maiñ ne jab pyaar daulat se navāzā hai use

    vo bhī do bol mohabbat ke sunāne aa.e

    umr-bhar saath nibhāne ko kahā hai kis ne

    vo mire saath bas ik shaam manāne aa.e

    dil ko dariyā ko baḌī der huī ḳhushk hue

    koī bādal mirī pyaas bujhāne aa.e

    jab se vo ruuTh gayā shaad yahī sochtā huuñ

    kab mirā chāñd mire paas na-jāne aa.e

    waqt ki qaid se aazad karane aae

    aaKHiri waqt mujhe munh hi dikhane aae

    in dinon meri tabiat mein hai mad-hoshi si

    us se kah do ki mera dard jagane aae

    main ne jab pyar ki daulat se nawaza hai use

    wo bhi do bol mohabbat ke sunane aae

    umr-bhar sath nibhane ko kaha hai kis ne

    wo mere sath bas ek sham manane aae

    dil ko dariya ko baDi der hui KHushk hue

    koi baadal hi meri pyas bujhane aae

    jab se wo ruTh gaya shad yahi sochta hun

    kab mera chand mere pas na-jaane aae

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now