Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

waqt ki shakl mein chalta hai jo suraj hi to hai

Miraq Mirza

waqt ki shakl mein chalta hai jo suraj hi to hai

Miraq Mirza

MORE BYMiraq Mirza

    vaqt shakl meñ chaltā hai jo sūraj to hai

    raat ko din meñ badaltā hai jo sūraj to hai

    haiñ ayaañ ret ke dariyāo meñ partav us ke

    qatra-e-āb meñ Dhaltā hai jo sūraj to hai

    ġhaiz ye kis hai paanī ke azāboñ meñ nihāñ

    kohsāroñ ko nigaltā hai jo sūraj to hai

    chehra-e-sub.h bhī vo shaam bhī vo raat bhī vo

    roz lamhoñ meñ pighaltā hai jo sūraj to hai

    chaudhvīñ shab ko ujāloñ se sajā detā hai kaun

    ban ke mahtāb nikaltā hai jo sūraj to hai

    raushnī to har ik ziist masdar hai 'mirāq'

    bin dikhe sāñsoñ meñ jaltā hai jo sūraj to hai

    waqt ki shakl mein chalta hai jo suraj hi to hai

    raat ko din mein badalta hai jo suraj hi to hai

    hain ayan ret ke dariyao mein partaw us ke

    qatra-e-ab mein Dhalta hai jo suraj hi to hai

    ghaiz ye kis ka hai pani ke azabon mein nihan

    kohsaron ko nigalta hai jo suraj hi to hai

    chehra-e-subh bhi wo sham bhi wo raat bhi wo

    roz lamhon mein pighalta hai jo suraj to hai

    chaudhwin shab ko ujalon se saja deta hai kaun

    ban ke mahtab nikalta hai jo suraj hi to hai

    raushni hi to har ek zist ka masdar hai 'miraq'

    bin dikhe sanson mein jalta hai jo suraj hi to hai

    Source:

    Sooraj Ke Aas Pas (Pg. 30)

    • Author: Miraq Mirza
      • Publisher: Urdu Foundation, Mumbai
      • Year of Publication: 2013
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now