Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

waqt ne dil ki tabiat mein wafa rakkhi hai

Khalilur Rahman Raz

waqt ne dil ki tabiat mein wafa rakkhi hai

Khalilur Rahman Raz

MORE BYKhalilur Rahman Raz

    vaqt ne dil tabī.at meñ vafā rakkhī hai

    kulfat-e-āgahī phir us sazā rakhī hai

    dil ho pazhmurda to hai ḳhanda-e-gul be-ma.anī

    har ḳhushī aur ġhamī dil ne chhupā rakkhī hai

    chaak kartī hai sabā sub.h ko ġhunchoñ ke jigar

    ye kahānī mujhe shabnam ne sunā rakkhī hai

    ġhunche ġhunche meñ hai poshīda salīb-e-ġham-e-dost

    kis ne phūloñ meñ ye qātil adā rakkhī hai

    kis ke chhup jaane se hairān huī hai duniyā

    kis ke jalvoñ ne ye dīvānī banā rakkhī hai

    zindagī ho ga.ī kis tarah itnī sastī

    kis liye ne bharī duniyā satā rakkhī hai

    ilm se jis ke mujhe mil sake manzil nishāñ

    vaqt ne mujh se vahī baat chhupā rakkhī hai

    ham ne har moḌ pe chāhat ke jalā.e haiñ charāġh

    ham ne har gaam pe ulfat binā rakkhī hai

    tafraqoñ nahīñ aapas meñ kahīñ koī javāz

    sab ne auhām dīvār uThā rakkhī hai

    dard-e-hijrāñ ke tasalsul se na ghabrā dil-e-zār

    ishq ne dard ke andar davā rakkhī hai

    vaqt le aayā hai ḳhud had meñ use der saver

    jis ne bhī qad se sivā apnī anā rakkhī hai

    us sitamgar meñ ai 'rāz' karūñ kyā shikva

    har balā mere liye jis ne ravā rakkhī hai

    waqt ne dil ki tabiat mein wafa rakkhi hai

    kulfat-e-agahi phir us ki saza rakhi hai

    dil ho pazhmurda to hai KHanda-e-gul be-mani

    har KHushi aur ghami dil ne chhupa rakkhi hai

    chaak karti hai saba subh ko ghunchon ke jigar

    ye kahani mujhe shabnam ne suna rakkhi hai

    ghunche ghunche mein hai poshida salib-e-gham-e-dost

    kis ne phulon mein ye qatil ki ada rakkhi hai

    kis ke chhup jaane se hairan hui hai duniya

    kis ke jalwon ne ye diwani bana rakkhi hai

    zindagi ho gai kis tarah tu itni sasti

    kis liye tu ne bhari duniya sata rakkhi hai

    ilm se jis ke mujhe mil sake manzil ka nishan

    waqt ne mujh se wahi baat chhupa rakkhi hai

    hum ne har moD pe chahat ke jalae hain charagh

    hum ne har gam pe ulfat ki bina rakkhi hai

    tafraqon ka nahin aapas mein kahin koi jawaz

    sab ne auham ki diwar uTha rakkhi hai

    dard-e-hijran ke tasalsul se na ghabra dil-e-zar

    ishq ne dard ke andar hi dawa rakkhi hai

    waqt le aaya hai KHud had mein use der sawer

    jis ne bhi qad se siwa apni ana rakkhi hai

    us sitamgar ka mein ai 'raaz' karun kya shikwa

    har bala mere liye jis ne rawa rakkhi hai

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now