Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

waqt sab KHarch mera gham ko khapane mein hua

Shahid Jameel

waqt sab KHarch mera gham ko khapane mein hua

Shahid Jameel

MORE BYShahid Jameel

    vaqt sab ḳharch mirā ġham ko khapāne meñ huā

    kaam ik pal thā par ek zamāne meñ huā

    is guzargāh pe chalne ḳhushī aur thī

    ġham thā vo aur jo manzil ke na aane meñ huā

    mahv thā kaun se mehvar pe ta.alluq tilism

    vāqi.a merā thā zikr us ke fasāne meñ huā

    dil jo saakh thī jazbāt ke ḳhitte meñ rahī

    dard mash.hūr magar saare zamāne meñ huā

    rang raag alag naqsh āvāz alag

    rā.egāñ ḳhuun bahut ḳhaak uḌāne meñ huā

    āḳhirash aan ke gum ho gayā mujh meñ raqīb

    tiir qissa tamām us ke nishāne meñ huā

    waqt sab KHarch mera gham ko khapane mein hua

    kaam ek pal ka tha par ek zamane mein hua

    is guzargah pe chalne ki KHushi aur hi thi

    gham tha wo aur jo manzil ke na aane mein hua

    mahw tha kaun se mehwar pe talluq ka tilism

    waqia mera tha zikr us ke fasane mein hua

    dil ki jo sakh thi jazbaat ke KHitte mein rahi

    dard mashhur magar sare zamane mein hua

    rang ka rag alag naqsh ki aawaz alag

    raegan KHun bahut KHak uDane mein hua

    aaKHirash aan ke gum ho gaya mujh mein hi raqib

    tir ka qissa tamam us ke nishane mein hua

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now