Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

waqt waqt ki baat hai ya dastur hai duniya ka sain

Ilyas Ishqi

waqt waqt ki baat hai ya dastur hai duniya ka sain

Ilyas Ishqi

MORE BYIlyas Ishqi

    vaqt vaqt baat hai dastūr hai duniyā sā.īñ

    din Dhalte baḌh jaatā hai qad se ḳhud saayā sā.īñ

    DhūñDne vaale letī haiñ ant samundar sā.īñ

    thaah milī nahīñ jis kisī ko dil hai vo dariyā sā.īñ

    manzil-e-ishq meñ aise aise hosh-rubā kuchh moḌ mile

    raah dikhāne vaale ghar bhuul ga.e rastā sā.īñ

    ishq ke tūfānī dariyā meñ jo Duubā vo paar gayā

    kachche ghaḌe ne beach bhañvar meñ kis saath diyā sā.īñ

    ye daatā den hai bādal ghir ke samundar par barsā

    aur kināre pyāsā koī qatre ko tarsā sā.īñ

    jo tūfān aayā thā us ke ab koī āsār nahīñ

    qulzum-e-dard meñ dil safīna kab Duub gayā sā.īñ

    kaan meñ mere chupke chupke kaun ye kahtā hai 'ishqī'

    har din duniyā vahī purānī har shab ḳhvāb nayā sā.īñ

    waqt waqt ki baat hai ya dastur hai duniya ka sain

    din Dhalte hi baDh jata hai qad se KHud saya sain

    DhunDne wale pa leti hain ant samundar ka sain

    thah mili nahin jis ki kisi ko dil hai wo dariya sain

    manzil-e-ishq mein aise aise hosh-ruba kuchh moD mile

    rah dikhane wale ghar ka bhul gae rasta sain

    ishq ke tufani dariya mein jo Duba wo par gaya

    kachche ghaDe ne beach bhanwar mein kis ka sath diya sain

    ye data ki den hai baadal ghir ke samundar par barsa

    aur kinare pyasa koi qatre ko tarsa sain

    jo tufan aaya tha us ke ab koi aasar nahin

    qulzum-e-dard mein dil ka safina kab ka Dub gaya sain

    kan mein mere chupke chupke kaun ye kahta hai 'ishqi'

    har din duniya wahi purani har shab KHwab naya sain

    Source:

    Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab (Pg. 172)

      • Edition: 1993
      • Publisher: Anjuman-e-Rooh-e-Adab, Allahabad
      • Year of Publication: 1993
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now