waraq-e-intiKHab dil mein hai
varaq-e-intiḳhāb dil meñ hai
ek taaza kitāb dil meñ hai
kis ko dikhlā.ūñ apne jī kā haal
raushan ik āftāb dil meñ hai
raushnī hai usī ke chehre kī
vo jo ik māhtāb dil meñ hai
band āñkhoñ meñ ek aalam hai
kisī manzar kā ḳhvāb dil meñ hai
sab hī siine meñ ho rahā hai 'zahīr'
dard kī kā.enāt dil meñ hai
waraq-e-intiKHab dil mein hai
ek taza kitab dil mein hai
kis ko dikhlaun apne ji ka haal
raushan ek aaftab dil mein hai
raushni hai usi ke chehre ki
wo jo ek mahtab dil mein hai
band aankhon mein ek aalam hai
kisi manzar ka KHwab dil mein hai
sab hi sine mein ho raha hai 'zahir'
dard ki kaenat dil mein hai
- Book : Jab Zaminon Se Shajar Ugtey Hain (Pg. 111)
- Author : Ali Zaheer
- Publication : Educational Publishing House (1994)
- Edition : 1994
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.