Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

waraq waraq sa bikharta kitab-e-gham jaisa

Sajid Rais Warsi

waraq waraq sa bikharta kitab-e-gham jaisa

Sajid Rais Warsi

MORE BYSajid Rais Warsi

    varaq varaq bikhartā kitāb-e-ġham jaisā

    milegā shahr meñ shāyad koī ham jaisā

    har ek yād-e-guzishta ko dāvateñ de kar

    manā.e jashn-e-hasīñ koī jashn-e-ġham jaisā

    kabhī vo anjuman-e-dil kabhī vo sirf sukūt

    kabhī vo had se tajāvuz kabhī vo kam jaisā

    gale lagā ke jise ḳhuub ro.e ḳhuub hañse

    kabhī milā nahīñ koī ham se ham jaisā

    maiñ ek pyaas sahrā aziim lā-mahdūd

    vo ik tavīl samundar magar hai kam jaisā

    vo duur duur manzar maiñ lamha lamha talāsh

    vo fāsloñ tarah maiñ qadam qadam jaisā

    huzūr-e-ishq is bārgāh meñ 'sājid'

    hameñ ḳhitāb milā hai janāb-e-ġhum jaisā

    waraq waraq sa bikharta kitab-e-gham jaisa

    milega shahr mein shayad hi koi hum jaisa

    har ek yaad-e-guzishta ko dawaten de kar

    manae jashn-e-hasin koi jashn-e-gham jaisa

    kabhi wo anjuman-e-dil kabhi wo sirf sukut

    kabhi wo had se tajawuz kabhi wo kam jaisa

    gale laga ke jise KHub roe KHub hanse

    kabhi mila hi nahin koi hum se hum jaisa

    main ek pyas ka sahra azim la-mahdud

    wo ek tawil samundar magar hai kam jaisa

    wo dur dur ka manzar main lamha lamha talash

    wo faslon ki tarah main qadam qadam jaisa

    huzur-e-ishq ki is bargah mein 'sajid'

    hamein KHitab mila hai janab-e-ghum jaisa

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now