warna is shahr mein rahta hai koi kya aabaad
varna is shahr meñ rahtā hai koī kyā ābād
mere ahbāb salāmat mirī duniyā ābād
kitne be-ghar isī saaye meñ paḌe rahte haiñ
tā-qayāmat rahe is peḌ kā saaya ābād
maiñ bhī us shahr se ho aa.uuñ use dekh aa.uuñ
jis ko rahtā hai sadā dekhne vaalā ābād
laakh vīrān sahī shahr-e-mohabbat lekin
maiñ ne is shahr ko likkhā hai hamesha ābād
mujh se pūchhe koī is shahr kī bābat 'ġhā.er'
kitnā vīrān hai andar se ye kitnā ābād
warna is shahr mein rahta hai koi kya aabaad
mere ahbab salamat meri duniya aabaad
kitne be-ghar isi saye mein paDe rahte hain
ta-qayamat rahe is peD ka saya aabaad
main bhi us shahr se ho aaun use dekh aaun
jis ko rahta hai sada dekhne wala aabaad
lakh viran sahi shahr-e-mohabbat lekin
main ne is shahr ko likkha hai hamesha aabaad
mujh se puchhe koi is shahr ki babat 'ghaer'
kitna viran hai andar se ye kitna aabaad
- Book : Ek Shaam Tumhare Hisse Ki (Pg. 66)
- Author : Kashif Husain Ghair
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.