wasf kirdar mein shaistagi guftar mein la
vasf kirdār meñ shā.istagī guftār meñ lā
apne me'yār ko pyāre kisī me'yār meñ lā
ai bure vaqt mujhe zaḳhm tū itne bhī na de
jis qadar sah luuñ maiñ ġham utnī hī miqdār meñ lā
hālat-e-zār hai pahle hī sitamgar merī
ranjisheñ aur na mere dil-e-bezār meñ lā
nā-mukammal hai mire bin ye kahānī terī
ai qalamkār tū mujh ko kisī kirdār meñ lā
dekh bhaa.ī mire pindār ko Thokar to na maar
mas.ale ghar ke haiñ so in ko na bāzār meñ lā
dasht-e-idrāk meñ sochoñ ke bhagā de ghoḌe
apnī fursat ko tū ganjīna-e-afkār meñ lā
shukr kar jitnā navāzā hai tujhe rab ne tire
shikneñ māthe pe tū 'shahzād' na bekār meñ lā
wasf kirdar mein shaistagi guftar mein la
apne me'yar ko pyare kisi me'yar mein la
ai bure waqt mujhe zaKHm tu itne bhi na de
jis qadar sah lun main gham utni hi miqdar mein la
haalat-e-zar hai pahle hi sitamgar meri
ranjishen aur na mere dil-e-bezar mein la
na-mukammal hai mere bin ye kahani teri
ai qalamkar tu mujh ko kisi kirdar mein la
dekh bhai mere pindar ko Thokar to na mar
masale ghar ke hain so in ko na bazar mein la
dasht-e-idrak mein sochon ke bhaga de ghoDe
apni fursat ko tu ganjina-e-afkar mein la
shukr kar jitna nawaza hai tujhe rab ne tere
shiknen mathe pe tu 'shahzad' na bekar mein la
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.