wasl bhi hoga hasan tu Tuk to istiqlal kar
vasl bhī hogā 'hasan' tū Tuk to istiqlāl kar
haal apnā ham se kah kah ham ko mat behāl kar
sārbāñ garm-e-hudī hai aur jaras hai na.ara-zan
tū bhī Tuk mahmil ke aage gard-e-majnūñ haal kar
sham.a saañ jitnā sunāyā haal ro ro us ko maiñ
uTh gayā āḳhir vo sab bāteñ hañsī meñ Taal kar
mashq-e-jaur-o-zulm to kartā hī jaatā hai vo shoḳh
tū bhī dil sabr-o-tahammul kā ab istīmāl kar
aish-o-ishrat ko na de tū raah dil meñ ai 'hasan'
dard-o-ġham hī se kisī ke is ko mālā-māl kar
wasl bhi hoga 'hasan' tu Tuk to istiqlal kar
haal apna hum se kah kah hum ko mat behaal kar
sarban garm-e-hudi hai aur jaras hai nara-zan
tu bhi Tuk mahmil ke aage gard-e-majnun haal kar
shama san jitna sunaya haal ro ro us ko main
uTh gaya aaKHir wo sab baaten hansi mein Tal kar
mashq-e-jaur-o-zulm to karta hi jata hai wo shoKH
tu bhi dil sabr-o-tahammul ka ab istimal kar
aish-o-ishrat ko na de tu rah dil mein ai 'hasan'
dard-o-gham hi se kisi ke is ko mala-mal kar
- Deewan-e-Meer Hasan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.