Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wasl ki rut ho ki furqat ki faza mujhse hai

Rahul Jha

wasl ki rut ho ki furqat ki faza mujhse hai

Rahul Jha

MORE BYRahul Jha

    vasl rut ho ki furqat fazā mujh se hai

    ishq raah meñ sab achchhā burā mujh se hai

    ye haqīqat hai ki tujh se hai mirā honā magar

    bandagī merī hai so bhī ḳhudā mujh se hai

    to bas chhoḌ gayā thā mere siine meñ ise

    terī furqat magar zaḳhm harā mujh se hai

    mere hone se taarī hai divānoñ pe junūñ

    tere nazdīk bhī ye raqs-e-havā mujh se hai

    varna ek tajraba-e-dīd kaafī hotā

    merī aañkh magar ḳhaufzada mujh se hai

    maiñ ne baḳhshā hai tujhe ye gul-e-tāza shabāb

    ye na.ī ḳhushbueñ ye rañg nayā mujh se hai

    mujh se hāsil thā tere jism ke dhāge ko kapās

    kis tarah sochtā hai ki judā mujh se hai

    wasl ki rut ho ki furqat ki faza mujh se hai

    ishq ki rah mein sab achchha bura mujh se hai

    ye haqiqat hai ki tujh se hai mera hona magar

    bandagi meri hai so tu bhi KHuda mujh se hai

    tu to bas chhoD gaya tha mere sine mein ise

    teri furqat ka magar zaKHm hara mujh se hai

    mere hi hone se tari hai diwanon pe junun

    tere nazdik bhi ye raqs-e-hawa mujh se hai

    warna ek tajraba-e-did hi kafi hota

    meri hi aankh magar KHaufzada mujh se hai

    main ne baKHsha hai tujhe ye gul-e-taza ka shabab

    ye nai KHushbuen ye rang naya mujh se hai

    mujh se hasil tha tere jism ke dhage ko kapas

    kis tarah sochta hai tu ki juda mujh se hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now