Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

waslat ki shab mein bhi wahi baqi raha lihaz

Shah Akbar Danapuri

waslat ki shab mein bhi wahi baqi raha lihaz

Shah Akbar Danapuri

MORE BYShah Akbar Danapuri

    vaslat shab meñ bhī vahī baaqī rahā lihāz

    ghūñgaT uThā na ruḳh se na un gayā lihāz

    pilvā.egā bāda-e-be-kaif ḳhuld meñ

    saaqī hai bāda-noshoñ ko terā baḌā lihāz

    lo laal Dore paḌne lage chashm-e-yār meñ

    ab lutf-e-mai-kashī hai ki uThne lagā lihāz

    shab vasl tamām huī baat bhī na

    aisā bhī kyā hijāb hai aisā bhī kyā lihāz

    zāhid jamā ye bazm meñ uThtā ab nahīñ

    saaqī pilā sharāb ki ab ho chukā lihāz

    vo kar chuke ulush to chalā daur-e-jām-e-mai

    rindoñ ne shaiḳh kiyā to baḌā lihāz

    'akbar' jo mohtasib nahīñ uThtā piyo sharāb

    us ko nahīñ ḳhayāl to rindoñ ko kyā lihāz

    waslat ki shab mein bhi wahi baqi raha lihaz

    ghungaT uTha na ruKH se na un ka gaya lihaz

    pilwaega tu baada-e-be-kaif KHuld mein

    saqi hai baada-noshon ko tera baDa lihaz

    lo lal Dore paDne lage chashm-e-yar mein

    ab lutf-e-mai-kashi hai ki uThne laga lihaz

    shab wasl ki tamam hui baat bhi na ki

    aisa bhi kya hijab hai aisa bhi kya lihaz

    zahid jama ye bazm mein uThta hi ab nahin

    saqi pila sharab ki ab ho chuka lihaz

    wo kar chuke ulush to chala daur-e-jam-e-mai

    rindon ne shaiKH ji ka kiya to baDa lihaz

    'akbar' jo mohtasib nahin uThta piyo sharab

    us ko nahin KHayal to rindon ko kya lihaz

    Source:

    Tajalliyat-e-Ishq (Pg. 142)

    • Author: Shah Akbar Danapuri
      • Publisher: Matba Shaukat Shahjahani, Agra
      • Year of Publication: 1896
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now