Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

viraniyon mein sabza ugati rahi hun main

Zarina Zarreen

viraniyon mein sabza ugati rahi hun main

Zarina Zarreen

MORE BYZarina Zarreen

    vīrāniyoñ meñ sabza ugātī rahī huuñ maiñ

    hariyāliyoñ ruup dikhātī rahī huuñ maiñ

    ḳhūn-e-jigar se sīñch ke banjar qadam qadam

    patthar ke dil meñ phuul khilātī rahī huuñ maiñ

    us fareb raas use aa gayā magar

    sachchā.iyoñ se aañkh milātī rahī huuñ maiñ

    terī navāzisheñ bhī rahīñ merī zindagī

    aur tujh ko aa.ina bhī dikhātī rahī huuñ maiñ

    us nigāh taktī rahī mujh ko ġhaur se

    aur mīThī chāñdnī meñ nahātī rahī huuñ maiñ

    'zarrīñ' agarche chhiḌ gayā qissa-e-vafā

    tasvīr bas vafā banātī rahī huuñ maiñ

    viraniyon mein sabza ugati rahi hun main

    hariyaliyon ka rup dikhati rahi hun main

    KHun-e-jigar se sinch ke banjar qadam qadam

    patthar ke dil mein phul khilati rahi hun main

    us ka fareb ras use aa gaya magar

    sachchaiyon se aankh milati rahi hun main

    teri nawazishen bhi rahin meri zindagi

    aur tujh ko aaina bhi dikhati rahi hun main

    us ki nigah takti rahi mujh ko ghaur se

    aur miThi chandni mein nahati rahi hun main

    'zarrin' agarche chhiD hi gaya qissa-e-wafa

    taswir bas wafa ki banati rahi hun main

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now