bosida kitab mein mila tha
bosīda kitāb meñ milā thā
vo lafz jo mujh se kho gayā thā
ik park meñ log hañs rahe the
maiñ aur udaas ho gayā thā
hosh aatā samā'atoñ ko jab tak
āvāz kā qaht paḌ chukā thā
tasvīr nahīñ thī rang thā vo
jo aañkh meñ ek dam chubhā thā
phir niiñd ke dasht meñ khaḌā huuñ
vo ḳhvāb yahīñ kahīñ girā thā
is tarh khulā thā vo abr mujh par
maiñ ḳhaak se rang ho gayā thā
martā hai koī itnī jaldī
vo shaḳhs baḌā utāvlā thā
bosida kitab mein mila tha
wo lafz jo mujh se kho gaya tha
ek park mein log hans rahe the
main aur udas ho gaya tha
hosh aata sama'aton ko jab tak
aawaz ka qaht paD chuka tha
taswir nahin thi rang tha wo
jo aankh mein ek dam chubha tha
phir nind ke dasht mein khaDa hun
wo KHwab yahin kahin gira tha
is tarh khula tha wo abr mujh par
main KHak se rang ho gaya tha
marta hai koi itni jaldi
wo shaKHs baDa utawla tha
- Book : Ham Zameen Par Aasmaan Ke Phool Hain (Pg. 85)
- Author : Vikas Sharma Raaz
- Publication : Rekhta Publications (2025)
- Edition : 3rd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.