mere jawab pe phir se sawal hota hua
mire javāb pe phir se savāl hotā huā
fuzūl bahas meñ ik sach halāl hotā huā
maiñ ḳhushk mausamoñ se barshgāl hotā huā
vo hijr-hijr badan phir visāl hotā huā
kisī ke ashk samundar se hoḌ lete hue
kisī kā chehra hañsī se gulāl hotā huā
nigal rahā hai mujhe phir se andarūn mirā
dayār-e-habs kā 'ohda bahāl hotā huā
udāsiyoñ kī fazā dil pe raaj kartī huī
ḳhushī kī baat pe aksar malāl hotā huā
badan-dhanak meñ na.e rang ho rahe haiñ varūd
vo ham-suḳhan se mirā ham-ḳhayāl hotā huā
mere jawab pe phir se sawal hota hua
fuzul bahas mein ek sach halal hota hua
main KHushk mausamon se barshgal hota hua
wo hijr-hijr badan phir visal hota hua
kisi ke ashk samundar se hoD lete hue
kisi ka chehra hansi se gulal hota hua
nigal raha hai mujhe phir se andarun mera
dayar-e-habs ka 'ohda bahaal hota hua
udasiyon ki faza dil pe raj karti hui
KHushi ki baat pe aksar malal hota hua
badan-dhanak mein nae rang ho rahe hain warud
wo ham-suKHan se mera ham-KHayal hota hua
- Book : Ham Zameen Par Aasmaan Ke Phool Hain (Pg. 86)
- Author : Vikas Sharma Raaz
- Publication : Rekhta Publications (2025)
- Edition : 3rd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.