zat ke azab sah rahe hain hum
zaat ke 'azāb sah rahe haiñ ham
shukr hai ki she'r kah rahe haiñ ham
is makāñ meñ aur koī bhī nahīñ
yā'nī apne saath rah rahe haiñ ham
le na jaa.e ham ko shahr-e-yās meñ
jis havā ke saath bah rahe haiñ ham
ai havā-e-sard koī ism phūñk
june se udaas rah rahe haiñ ham
silvaTeñ liye hue vujūd par
ek 'umr ḳhud meñ tah rahe haiñ ham
phir ġhubār uTh rahā hai zaat se
shaam ho rahī hai Dhah rahe haiñ ham
zat ke 'azab sah rahe hain hum
shukr hai ki she'r kah rahe hain hum
is makan mein aur koi bhi nahin
ya'ni apne sath rah rahe hain hum
le na jae hum ko shahr-e-yas mein
jis hawa ke sath bah rahe hain hum
ai hawa-e-sard koi ism phunk
june se udas rah rahe hain hum
silwaTen liye hue wujud par
ek 'umr KHud mein tah rahe hain hum
phir ghubar uTh raha hai zat se
sham ho rahi hai Dhah rahe hain hum
- Book : Ham Zameen Par Aasmaan Ke Phool Hain (Pg. 81)
- Author : Vikas Sharma Raaz
- Publication : Rekhta Publications (2025)
- Edition : 3rd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.