Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wo aadmi jo dard ka hamil nahin raha

Abrar Kiratpuri

wo aadmi jo dard ka hamil nahin raha

Abrar Kiratpuri

MORE BYAbrar Kiratpuri

    vo aadmī jo dard hāmil nahīñ rahā

    kaif-e-ġham-e-hayāt use hāsil nahīñ rahā

    pahlā ab vo rang-e-mahāfil nahīñ rahā

    us shoḳh koī mutabādil nahīñ rahā

    ai mauj-e-‘azm-sāz talātum meñ le ke chal

    ab e'tibār-e-ġhairat-e-sāhil nahīñ rahā

    mahrūm-e-zarf ho ga.e shāyad junūñ-mizāj

    zindāñ meñ kyoñ vo shor-e-salāsil nahīñ rahā

    ai rabb-e-kā.ināt hameñ paak ḳhuun de

    mīzān-e-dahr meñ koī 'ādil nahīñ rahā

    mahkā rahā maiñ nik.hat-e-jānāñ meñ har nafas

    chūñki ḳhayāl-e-zulf se ġhāfil nahīñ rahā

    ai dast-e-zulm ne ye sochā bhī hai kabhī

    kyā hogā jo zulm ke qābil nahīñ rahā

    wo aadmi jo dard ka hamil nahin raha

    kaif-e-gham-e-hayat use hasil nahin raha

    pahla sa ab wo rang-e-mahafil nahin raha

    us shoKH ka koi mutabaadil nahin raha

    ai mauj-e-‘azm-saz talatum mein le ke chal

    ab e'tibar-e-ghairat-e-sahil nahin raha

    mahrum-e-zarf ho gae shayad junun-mizaj

    zindan mein kyon wo shor-e-salasil nahin raha

    ai rabb-e-kainat hamein pak KHun de

    mizan-e-dahr mein koi 'adil nahin raha

    mahka raha main nikhat-e-jaanan mein har nafas

    chunki KHayal-e-zulf se ghafil nahin raha

    ai dast-e-zulm tu ne ye socha bhi hai kabhi

    kya hoga tu jo zulm ke qabil nahin raha

    Source:

    (Pg. 33)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now