Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wo aadmi mujhe pariyon ki dastan ka laga

Dr. Yasin Aatir

wo aadmi mujhe pariyon ki dastan ka laga

Dr. Yasin Aatir

MORE BYDr. Yasin Aatir

    vo aadmī mujhe pariyoñ dāstāñ lagā

    hasīñ thā itnā kisī aur jahāñ lagā

    vo ḳhadd-o-ḳhāl the pūrab ke ki pachchhim ke

    jab us ko ġhaur se dekhā kahāñ kahāñ lagā

    hazār vasvase lāhaq the jis ke milne par

    jab us ke dil ko TaTolā to mehrbāñ lagā

    milā jab us se to thā itnī bad-havāsī meñ

    ġhazal meñ qāfiya mujh se yahāñ-vahāñ lagā

    fasurda shaam thī so us ke ghar basar kar

    jab us husn-e-amal mujh ko mezbāñ lagā

    agar milī bhī kabhī dhuup jhalak us meñ

    to phir mizāj meñ 'ātir' vo sā.ebāñ lagā

    wo aadmi mujhe pariyon ki dastan ka laga

    hasin tha itna kisi aur hi jahan ka laga

    wo KHadd-o-KHal the purab ke ya ki pachchhim ke

    jab us ko ghaur se dekha kahan kahan ka laga

    hazar waswase lahaq the jis ke milne par

    jab us ke dil ko TaTola to mehrban ka laga

    mila jab us se to tha itni bad-hawasi mein

    ghazal mein qafiya mujh se yahan-wahan ka laga

    fasurda sham thi so us ke ghar basar kar di

    jab us ka husn-e-amal mujh ko mezban ka laga

    agar mili bhi kabhi dhup ki jhalak us mein

    to phir mizaj mein 'atir' wo saeban ka laga

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now