Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wo aaghaz-e-mohabbat ka zamana

Qamar Jalalvi

wo aaghaz-e-mohabbat ka zamana

Qamar Jalalvi

MORE BYQamar Jalalvi

    vo āġhāz-e-mohabbat zamāna

    zarā baat bantī thī fasāna

    qafas ko kyuuñ samajh luuñ āshiyāna

    abhī to karvaTeñ legā zamāna

    ye kah kar sabr karte haiñ sitam par

    hamārā bhī kabhī hogā zamāna

    qafas se bhī nikālā rahā huuñ

    kahāñ le jaa.e dekho āb-o-dāna

    ġhurūr itnā na kar tīr-e-sitam par

    ki aksar chuuk jaatā hai nishāna

    agar bijlī Dar hogā to un ko

    bulandī par hai jin āshiyāna

    kahānī dard-e-dil sun ke pūchhā

    'qamar' sach kah ye kis hai fasāna

    wo aaghaz-e-mohabbat ka zamana

    zara si baat banti thi fasana

    qafas ko kyun samajh lun aashiyana

    abhi to karwaTen lega zamana

    ye kah kar sabr karte hain sitam par

    hamara bhi kabhi hoga zamana

    qafas se bhi nikala ja raha hun

    kahan le jae dekho aab-o-dana

    ghurur itna na kar tir-e-sitam par

    ki aksar chuk jata hai nishana

    agar bijli ka Dar hoga to un ko

    bulandi par hai jin ka aashiyana

    kahani dard-e-dil ki sun ke puchha

    'qamar' sach kah ye kis ka hai fasana

    Source:

    Rashq-e-Qamar (Pg. 44)

    • Author: Qamar Jalalvi
      • Publisher: Navrang Kitab Ghar
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now