Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wo aai sham-e-gham waqf-e-bala hone ka waqt aaya

Tilok Chand Mahroom

wo aai sham-e-gham waqf-e-bala hone ka waqt aaya

Tilok Chand Mahroom

MORE BYTilok Chand Mahroom

    vo aa.ī shām-e-ġham vaqf-e-balā hone vaqt aayā

    taḌapne loTne dam fanā hone vaqt aayā

    unheñ apnī jafāoñ par pashemānī huī āḳhir

    sharīk-e-mātam-e-ahl-e-vafā hone vaqt aayā

    udāsī har sahar kahtī hai mujh se bazm-e-anjum

    uTh ai ġham-dīda uTh mahv-e-bukā hone vaqt aayā

    tirā milnā kise miltā hai mamnūn-e-muqaddar huuñ

    magar afsos milte judā hone vaqt aayā

    bahār aa.ī har ik zarre se phūTī husn duniyā

    fareb-e-mā-sivā ke haq-numā hone vaqt aayā

    qayāmat-ḳhez hai husn-e-chaman ai bulbul-e-nālāñ

    tire nāloñ se phir mahshar bapā hone vaqt aayā

    mirī TuuTī huī kashtī thapeḌe mauj-e-tūfāñ ke

    ḳhudā-e-pāk tere nāḳhudā hone vaqt aayā

    javānī chukī 'mahrūm' zauq-e-ārzū kaisā

    tumhāre be-niyāz-e-mudda.ā hone vaqt aayā

    wo aai sham-e-gham waqf-e-bala hone ka waqt aaya

    taDapne loTne ka dam fana hone ka waqt aaya

    unhen apni jafaon par pashemani hui aaKHir

    sharik-e-matam-e-ahl-e-wafa hone ka waqt aaya

    udasi har sahar kahti hai mujh se bazm-e-anjum ki

    uTh ai gham-dida uTh mahw-e-buka hone ka waqt aaya

    tera milna kise milta hai mamnun-e-muqaddar hun

    magar afsos milte hi juda hone ka waqt aaya

    bahaar aai har ek zarre se phuTi husn ki duniya

    fareb-e-ma-siwa ke haq-numa hone ka waqt aaya

    qayamat-KHez hai husn-e-chaman ai bulbul-e-nalan

    tere nalon se phir mahshar bapa hone ka waqt aaya

    meri TuTi hui kashti thapeDe mauj-e-tufan ke

    KHuda-e-pak tere naKHuda hone ka waqt aaya

    jawani ja chuki 'mahrum' zauq-e-arzu kaisa

    tumhaare be-niyaz-e-muddaa hone ka waqt aaya

    Source:

    Shola-e-nawa (Pg. 118)

    • Author: Tilok Chand Mahroom
      • Edition: 1960
      • Publisher: Maktaba Jamia Limited, New Delhi
      • Year of Publication: 1960
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now