wo aaj raat bhi KHalwat-sara mein aaya nahin
vo aaj raat bhī ḳhalvat-sarā meñ aaya nahīñ
mujhe bhī zid thī so maiñ ne diyā bujhāyā nahīñ
vo dard thā ki rag-o-pai kī jaan khiñchtī thī
pa jaañ se jaane kā mausam to phir bhī aaya nahīñ
tamām raat maiñ apnī hī raushnī meñ jalī
tamām raat kisī ne mujhe bujhāyā nahīñ
bas ek baar un āñkhoñ meñ dekh paa.ī thī
phir us ke baa'd kabhī aa.ina uThāyā nahīñ
mohabbatoñ meñ mashaqqat bahut thī so tum ne
mire ḳhayāl se shāyad mujhe thakāyā nahīñ
havā ne raat jo zanjīr-e-dar hilā.ī thī
phir us ke baa'd kisī ne mujhe satāyā nahīñ
wo aaj raat bhi KHalwat-sara mein aaya nahin
mujhe bhi zid thi so main ne diya bujhaya nahin
wo dard tha ki rag-o-pai ki jaan khinchti thi
pa jaan se jaane ka mausam to phir bhi aaya nahin
tamam raat main apni hi raushni mein jali
tamam raat kisi ne mujhe bujhaya nahin
bas ek bar un aankhon mein dekh pai thi
phir us ke ba'd kabhi aaina uThaya nahin
mohabbaton mein mashaqqat bahut thi so tum ne
mere KHayal se shayad mujhe thakaya nahin
hawa ne raat jo zanjir-e-dar hilai thi
phir us ke ba'd kisi ne mujhe sataya nahin
- Book : Ek Diya Aur Ek Phool (Pg. 73)
- Author : Ishrat Afreen
- Publication : Rekhta Publications (2022)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.