wo aalam tishnagi ka hai safar aasan nahin lagta

Sabeela Inam Siddiqui

wo aalam tishnagi ka hai safar aasan nahin lagta

Sabeela Inam Siddiqui

MORE BYSabeela Inam Siddiqui

  vo aalam tishnagī hai safar āsāñ nahīñ lagtā

  ba-zāhir to mujhe bārish bhī imkāñ nahīñ lagtā

  ye dil jāgīr hai jis usī ke naam kar hai

  jo mere dil ke āñgan meñ mujhe mehmāñ nahīñ lagtā

  shu.ūr-o-āgahī kaisī koī vahshī koī sarkash

  ye kaisā desh hai jis meñ koī insāñ nahīñ lagtā

  na.ī qadreñ na.ī tahzīb āġhāz hotā hai

  gulistān-e-adab hargiz kabhī vīrāñ nahīñ lagtā

  na ho mahfūz māl-o-zar na izzat-ābrū jab

  to phir zinda kisī bhī mujhe īmāñ nahīñ lagtā

  kahāñ faḳhr kaisā naaz man-ānam ki man-dānam

  magar jo rab se paayā hai mujhe arzāñ nahīñ lagtā

  ḳhudā rakkhe 'sabīla' har ghaḌī māñ-bāp saaya

  duā se jin tūfāñ bhī mujhe tūfāñ nahīñ lagtā

  wo aalam tishnagi ka hai safar aasan nahin lagta

  ba-zahir to mujhe barish ka bhi imkan nahin lagta

  ye dil jagir hai jis ki usi ke nam kar di hai

  jo mere dil ke aangan mein mujhe mehman nahin lagta

  shuur-o-agahi kaisi koi wahshi koi sarkash

  ye kaisa desh hai jis mein koi insan nahin lagta

  nai qadren nai tahzib ka aaghaz hota hai

  gulistan-e-adab hargiz kabhi viran nahin lagta

  na ho mahfuz mal-o-zar na izzat-abru hi jab

  to phir zinda kisi ka bhi mujhe iman nahin lagta

  kahan ka faKHr kaisa naz man-anam ki man-danam

  magar jo rab se paya hai mujhe arzan nahin lagta

  KHuda rakkhe 'sabila' har ghaDi man-bap ka saya

  dua se jin ki tufan bhi mujhe tufan nahin lagta

  0
  COMMENTS
  VIEW COMMENTS

  Additional information available

  Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

  OKAY

  About this sher

  Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

  Close

  rare Unpublished content

  This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

  OKAY