Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wo aise pesh aaya mujhse jaise jaanta nahin

Gaazi Moin

wo aise pesh aaya mujhse jaise jaanta nahin

Gaazi Moin

MORE BYGaazi Moin

    vo aise pesh aayā mujh se jaise jāntā nahīñ

    agarche naam us maiñ kabhī bhī bhūltā nahīñ

    ye dil bhī hai ke us bevafā.ī māntā nahīñ

    magar sivā.e us ke ab kisī se rābta nahīñ

    vo jādūgar hai lafzoñ us se duur rahnā siikh

    us aadmī ke baare meñ abhī jāntā nahīñ

    muqaddar apnā gar bichhaḌnā huā to Thiik hai

    merī nazar meñ ab bichhaḌnā koī hādisa nahīñ

    yahāñ to ġham boliyāñ lagā.ī jaatī haiñ miyāñ

    tumhāre dard se yahāñ koī bhī āshnā nahīñ

    ki merā ḳhvāb bhī hai vo mirā ḳhayāl bhī hai vo

    ye sach hai 'ġhāzī' bhuul kar bhī us ko bhūltā nahīñ

    wo aise pesh aaya mujh se jaise jaanta nahin

    agarche nam us ka main kabhi bhi bhulta nahin

    ye dil bhi hai ke us ki bewafai manta nahin

    magar siwae us ke ab kisi se rabta nahin

    wo jadugar hai lafzon ka tu us se dur rahna sikh

    us aadmi ke bare mein abhi tu jaanta nahin

    muqaddar apna gar bichhaDna hi hua to Thik hai

    meri nazar mein ab bichhaDna koi hadisa nahin

    yahan to gham ki boliyan lagai jati hain miyan

    tumhaare dard se yahan koi bhi aashna nahin

    ki mera KHwab bhi hai wo mera KHayal bhi hai wo

    ye sach hai 'ghazi' bhul kar bhi us ko bhulta nahin

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now