Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wo anjuman ho ki maqtal lahu lahu hi rahe

Rahman Khawar

wo anjuman ho ki maqtal lahu lahu hi rahe

Rahman Khawar

MORE BYRahman Khawar

    vo anjuman ho ki maqtal lahū lahū rahe

    jahāñ kahīñ bhī rahe ham to surḳh-rū rahe

    vo daur hai ki ġham-e-vasl-o-hijr ek taraf

    maiñ sochtā huuñ mohabbat aabrū rahe

    na pūchh ham se zamāne ne kyā sulūk kiyā

    bahut hai dil meñ agar terī aarzū rahe

    ye mai-kada hai yahāñ ḳhūn-e-dil baat na kar

    yahāñ to tazkira-e-bād-o-subū rahe

    shab-e-firāq to āḳhir guzārnī Thahrī

    jo vo nahīñ na sahī us guftugū rahe

    ḳhudā kare na kabhī lazzat-e-safar kam ho

    tamām-umr hameñ terī justujū rahe

    bahār aa.ī bhī 'ḳhāvar' to kyā bahār aa.ī

    chaman ke phuul to mahrūm-e-rañg-o-bū rahe

    wo anjuman ho ki maqtal lahu lahu hi rahe

    jahan kahin bhi rahe hum to surKH-ru hi rahe

    wo daur hai ki gham-e-wasl-o-hijr ek taraf

    main sochta hun mohabbat ki aabru hi rahe

    na puchh hum se zamane ne kya suluk kiya

    bahut hai dil mein agar teri aarzu hi rahe

    ye mai-kada hai yahan KHun-e-dil ki baat na kar

    yahan to tazkira-e-baad-o-subu hi rahe

    shab-e-firaq to aaKHir guzarni Thahri

    jo wo nahin na sahi us ki guftugu hi rahe

    KHuda kare na kabhi lazzat-e-safar kam ho

    tamam-umr hamein teri justuju hi rahe

    bahaar aai bhi 'KHawar' to kya bahaar aai

    chaman ke phul to mahrum-e-rang-o-bu hi rahe

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now