Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

vo apne aa.nsuu ek naazuk hair dryer se sukhaatii hai

Afzal Ahmad Syed

vo apne aa.nsuu ek naazuk hair dryer se sukhaatii hai

Afzal Ahmad Syed

MORE BYAfzal Ahmad Syed

    vo apne aa.nsuu

    ek naazuk hair dryer se sukhaatii hai

    jab us kii masnuu.ii palke.n

    us kaa badan chhupaane me.n naakaam ho jaatii hai.n

    das naaKHun-taraash

    us ke naaKHuno.n kii dekh-bhaal karte hai.n

    vo bachcho.n kii tarah barte jaane se

    ta.ng aa chukii hai

    pur-kashish badan ko milne vaale tamGo.n ke darmiyaan se

    vo machhlii kii tarah

    tair kar nikal jaatii hai

    apne talvo.n ke niiche

    vo gahraa.ii aur drama chaahtii hai

    us ke baal

    shampoo kii shiishii par likhii hu.ii hidaayaat par

    saKHtii se amal karte hai.n

    maahauliyaatii aaluudgii kaa KHayaal karte hu.e

    vo ko.ii bosa nahii.n detii

    us kaa takiya

    duniyaa ke tamaam aashiqo.n ke aa.nsuu

    jazb kar saktaa hai

    vo apne aa.nsuu

    ek naazuk hair dryer se sukhaatii hai

    jab us kii masnuu.ii palke.n

    us kaa badan chhupaane me.n naakaam ho jaatii hai.n

    das naaKHun-taraash

    us ke naaKHuno.n kii dekh-bhaal karte hai.n

    vo bachcho.n kii tarah barte jaane se

    ta.ng aa chukii hai

    pur-kashish badan ko milne vaale tamGo.n ke darmiyaan se

    vo machhlii kii tarah

    tair kar nikal jaatii hai

    apne talvo.n ke niiche

    vo gahraa.ii aur drama chaahtii hai

    us ke baal

    shampoo kii shiishii par likhii hu.ii hidaayaat par

    saKHtii se amal karte hai.n

    maahauliyaatii aaluudgii kaa KHayaal karte hu.e

    vo ko.ii bosa nahii.n detii

    us kaa takiya

    duniyaa ke tamaam aashiqo.n ke aa.nsuu

    jazb kar saktaa hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now