Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wo apne dil ko maine KHat likha tha na

Parul Singh Noor

wo apne dil ko maine KHat likha tha na

Parul Singh Noor

MORE BYParul Singh Noor

    vo apne dil ko maiñ ne ḳhat likhā thā

    kahtā thā vo terā pata thā

    huī thī kal chhuvan mahsūs gāloñ par

    mirī tasvīr ko tum ne chhuā thā

    vahīñ pahlī nazar pyaar ho baiThā

    ghaḌī meñ jab mirā āñchal phañsā thā

    agar ġhusse meñ jaatā lauT aatā vo

    nahīñ lauTegā muskā kar gayā thā

    bahut āsān thā un ko jalā denā

    gharoñ meñ jin meñ pahle se dhuāñ thā

    wo apne dil ko main ne KHat likha tha na

    tu hi kahta tha wo tera pata tha na

    hui thi kal chhuwan mahsus galon par

    meri taswir ko tum ne chhua tha na

    wahin pahli nazar ka pyar ho baiTha

    ghaDi mein jab mera aanchal phansa tha na

    agar ghusse mein jata lauT aata wo

    nahin lauTega muska kar gaya tha na

    bahut aasan tha un ko jala dena

    gharon mein jin mein pahle se dhuan tha na

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now