Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wo apni jhil si aankhen jo le kar ashk-bar aae

Tashna Azmi

wo apni jhil si aankhen jo le kar ashk-bar aae

Tashna Azmi

MORE BYTashna Azmi

    vo apnī jhiil āñkheñ jo le kar ashk-bār aa.e

    bhalā aise meñ kis zālim ko dil par iḳhtiyār aa.e

    sañvartī nahīñ qismat unhīñ hāthoñ se ab apnī

    ki jin hāthoñ se vo qismat hazāroñ sañvār aa.e

    nahīñ jab vāsta koī rahā apnā gulistāñ se

    hameñ kyā farq hai yaaro ḳhizāñ aa.e bahār aa.e

    ḳhudā jaane abhī baaqī haiñ kitne tiir tarkash meñ

    ga.e jab bhī ham us ke dar pe vāpas dil-figār aa.e

    jinheñ da.avā thā dil saḳht-jānī hamīñ par vo

    zarā Thes kyā pahuñchī ki rote zār-zār aa.e

    jahāñ darmāñ hai vahshat usī manzil se ham 'tashna'

    garebāñ chāk-chāk aa.e to dāman tār-tār aa.e

    wo apni jhil si aankhen jo le kar ashk-bar aae

    bhala aise mein kis zalim ko dil par iKHtiyar aae

    sanwarti hi nahin qismat unhin hathon se ab apni

    ki jin hathon se wo qismat hazaron ki sanwar aae

    nahin jab wasta koi raha apna gulistan se

    hamein kya farq hai yaro KHizan aae bahaar aae

    KHuda jaane abhi baqi hain kitne tir tarkash mein

    gae jab bhi hum us ke dar pe wapas dil-figar aae

    jinhen dawa tha dil ki saKHt-jaani ka hamin par wo

    zara si Thes kya pahunchi ki rote zar-zar aae

    jahan darman hai wahshat ka usi manzil se hum 'tashna'

    gareban chaak-chaak aae to daman tar-tar aae

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now